Zikr

Kuch dhundlayi hui si yaadoo mein kuch khojne ki koshish, har baar us ek modh par le ati hain jiska zikr na tum karna cahate ho na mein. Phir kyu, roz hum yeh socchte hain, ki kuch toh hain, un dhundlayi hui si yaadoo mein...

Aur kabhi yuin hi, bina daastak diye, har us baat ka zikr ho jata hai jinhe humne ek bare se sandook mein samet ke rakha hai, jiski chabbi ek muddaat hue kho gayi hain...

Jaab woh band pitara khulta hai, kisi zikr pe hum hustein hain, kisi pe chuppi sadh lete hain, lekin woh ek zikr na tum karte ho na mein, jo hain kahi dabi hui un dhundlayi hui si yaadoo mein...


Comments

  1. Wah Wah..Kya baat hai..Loved each line of your poetry

    http://www.simpleindianmom.in/iron-rich-andhra-pesarattu-dosai/

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Apology is just saying ‘I am sorry!’

Badrinath Ki Dulhania…A great movie on clichés

Questions