Haaq nahi hai

Haaq nahi hai,
Phir bhi kuch mangne ki chahat hai,
Doge kya?

Woh nila kurta
Accha lagta hai tumpe
Usko phir pehnoge kya?

Woh jo panktiya likhi thi tumne
Barish pe
Phir se sunayo ge kya?

Woh har ek baat ko
Has kar tal dena
Aab bhi kar payoge kya?

Woh jo kitab rakhi hai
Jisme kuch nazm, shayari aur ghazal hai
Unn panno ko phir palto ge kya?

Woh kuch khwab the
Sacche, muskil paar pyaare
Ek baar phir mujhe bata payoge kya?

Haaq nahi hai,
Phir bhi kuch mangne ki chahat hai,
Doge kya?

Comments

Popular posts from this blog

Apology is just saying ‘I am sorry!’

Badrinath Ki Dulhania…A great movie on clichés

Questions